Kya Hum Bhi Tumhe Yaad Aate Hain Noha Lyrics – Ali Shanawar

Kya Hum Bhi Tumhe Yaad Aate Hain Noha Lyrics:

Bhaiyya ali akbar
Sughra ne ye khat akbar ko likha
Kaise ho mere pyaare bhaiyya
Bichde hue asra beet gaya
Kab tak ye bahen dekhe rasta
Jab ghar ko parinde jaate hai
kya hum bhi tumhei yaad aate hai

lo qaside sughra ghar se chala
likkha hai batao ai bhaiyya
Ab tak na khayal aaya mera
Kya aisi hui hai mujhse khata
Kya aise roothke jaate hai

Sab chod gaye humko tanha
Kis haal me hu kya tumko pata
Beemar ko de ab kaun dawa
Aajao jo tum mai paau shifa
Jab chain se sab so jaate hai

Jab baali sakina aur asgar
Milte hai gale tumse haskar
Aur saath me amma aur padar
Bas itna bata bhaiya akbar
Sab gharme haste hasate hai

Jab jab bhi musalle par bhaiya
Karte ho namaze fajr ada
Beemar ke haq me behre shifa
Karte hai dua mere baba
Sab apne haath uthate hai

qasim Jo sakina ko bhaiya
Deta hai koi laakar tohfa
Dono se gale milkar baba
Dete hai dua lekar bosa
Aur pyaar se sar sehlaate

jab ghar me khushi ka ho samaan
sab ek jagah ho peero jawaan
khush dekh ke sabko ho amma
aa jate koi ghar me mehmaan
jab dastarkhwan bichate hai

hasrat hai tera sehra dekhu
maa jaye tera matha chumu
bate toh bahut hai kya likhu
nadar hai bhaiya kya bheju
ahkaab jo tohfe laate hai

jab zikr kabhi hota hoga
maajaye tumhari shadi ka
khush hogi sakina aur kubra
bandhega ali akbar sehra
khushiyo ke phool khilate hai

kya haal likhu kya batlaau
dil cheer ke kaise dikhlaau
khud aao ke tumko bulwaau
bhaiyya mai tumhe kaise paau
bas tanha ashk bahaate hai

kasid jo khate sugra laya
ek baap kamar thaame tha khada
bhai ke labo par tha noha
ro roke shanawar aur raza
khat sugra ka dohraate hai

About Singer:

ali shanawar noha khawan

Syed Ali Shanawar Raza (in Urdu علی شناور) is a Shia Noha reciter and the son of Nadeem Sarwar. He is well known in the Shia community and is considered the best Teenage Noha Khwaan (Noha reciter) of present because of his unique style of recitation. He rose to fame in the 2007 when his first only Noha “Pyare Nabi Ki” released in the album of his father’s 2007 album which gained popularity all over the world among not only shias but non-shias as well. His first noha was the only single by Ali Shanawar in his father’s Nadeem Sarwar’s 2007 album, Since then he has also released recorded collections of 2 to 13 Nohas every year since 2007, On his success there is a major support of his father Nadeem Sarwar as a mentor and also a teacher. He mostly recites in Urdu, he has also recited in languages such as Persian and Arabic. He is very popular among the youth.[citation needed] His collections of Nohas are very popular during the Islamic month of Muharram when his Nohas are listened to and recited by many.

Author: Subhan Ahmad