Posted in Ali Jee Lyrics Noha Lyrics

Yeh Meri Dua Hai Noha Lyrics – Ali Jee

Yeh Meri Dua Hai Noha Lyrics:

ye meri dua hai
zehra ne kaha matame sarwar na rukega
ye meri dua, meri dua, meri dua hai
zehra ne kaha matame sarwar na rukega
islam sada zinda o pa-inda rahega
ye meri dua, meri dua, meri dua hai

ek pyase ne sajda jo tahe taygh kiya hai
tab jaake kahin deen payambar ka bacha hai
ye aur kisi ne nahi zehra ne kaha hai
paigham e hussain ibne ali zinda rahega
islam sada…
ye meri dua…
zehra ne kaha..
ye meri dua…

hum matami shabbir ke hum ahle aza hai
hum qalbe payambar ke dhadakne ki sada hai
hum maadare shabbir ki maqoos dua hai
haathon may sada parchame abbas rahega
islam sada…
ye meri dua…
zehra ne kaha..
ye meri dua…

hai ulfate shabbir meri maa ki amanat
ghutti may pilaayi hai shahe deen ki mohabbat
hai taziyadari meri maqsoos ibadat
har daur may sikka ghame sarwar ka chalega
islam sada…
ye meri dua…
zehra ne kaha..
ye meri dua…

khush honge nabi majlise shabbir may aao
hur banke chalo bigde muqaddar ko banao
mazloom ke matam may zara ashk bahao
ghazi ka alam dhoop may saaya tumhay dega
islam sada…
ye meri dua…
zehra ne kaha..
ye meri dua…

hum amn ka paigham sunate hai jahan ko
ashoor ko kya guzri batate hai jahan ko
farshe ghame sarwar pe bulaate hai jahan ko
is dar pe jo aaya hai wo izzat se jiyega
islam sada…
ye meri dua…
zehra ne kaha..
ye meri dua…

baakhi hai azan akbar e dilgeer ke dam se
sajda hai bacha hazrate shabbir ke dam se
baakhi hai haya zainab e dilgeer ke dam se
aandhi may charaghe ghame shabbir jalega
islam sada…
ye meri dua…
zehra ne kaha..
ye meri dua…

mehsoos ye hota hai raza kehti hai zehra
padte raho yuhin mere shabbir ka noha
khud aaungi mai sun ne ali jee jo padega
jo royega jannat may mere saath rahega
islam sada…
ye meri dua…
zehra ne kaha..
ye meri dua…

About Reciter:

ali jee Noha Khawan

Ali Jee is Pakistani Noha Khawan who released the album Ya Ali a.s Madad in 2016. His 2013 hit single “Dil e Dukhtar” has attracted over 2 million views on YouTube. He began singing with his father when he was seven. His Facebook page has drawn in over 250,000 followers. His father, Nadeem Sarwar, is also a well-known musician. He has a sister and a brother. He released the album, Ya Ali, a.s Madad alongside his brother Ali Shanawar.